Thursday, 28 July 2011


Sirf Din Nahi Ab Raat Se Dar Lagta Hai,
Ghar Hai Kacha Barsat Se Dar Lagta Hai,
Kisi Ne Tohfe Mein Khun Ke Ansun Diye,
Ab Mujhe Tohfon Ki Sougat Se Dar Lagta Hai

Thursday, 23 July 2009

Nazar

ko Nazar ki
Nazar se na Dekho
Nazar ko Nazar ki
Nazar lag jayegee
Nazar ko Nazar ki
Nazar lag gayee to
Nazar hi Nazar se
khafa ho jayegee

Ek

ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai…
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai…

Sochoge jab bhi tum chaahne waalo ki tarah,
Yaad aa jaayenge ham tute hue pyaalo ki tarah,
Jab bhi tanhaai me andhero se dar jaaoge tum,
Meri yaade kamare me fel jaayengi ujaalo ki tarah.

Saturday, 18 July 2009

मैं साहिल पे लिखी कोई इबारत नहीं
जो लहरों से मिट जाती है ...
मैं बारिश की बरसती बूँद नहीं
जो बरस कर थम जाती है ...
मैं वोह एक खवाब नहीं
जिसे देखा और भुला दिया ...
मैं वोह एक शमा नहीं
जिसे फूँका और बुझा दिया ...
मैं हवा का वोह झोंका नहीं
जो आया और गुज़र गया ...
मैं चाँद भी नहीं
जो रात के बाद ढल जाये ...

मैं तो वोह अहसास हूँ
जो तुझ में लहू बन कर गर्दिश करे ...
मैं तो वोह रंग हूँ
जो तेरे दिल पे चढ़े तो कभी न मिटे ...
मैं वोह गीत हूँ
जो तेरे लबो से जुदा न होगा ...
ख्वाब ...इबारत . ..हवा की तरह
चाँद ...बूँद . ..शमा की तरह ...
मेरे मिटने का सवाल नहीं
क्यूँकि मैं तो मोहब्बत हूँ [/undefined]

Friday, 17 July 2009

Koi chaudhawi raat ka chand banker

Tumhare tasauver me aaya to hoga



Kisi se to ki hogi tumne mohabbat

Kisi ko gale se lagaya to hoga



Tumhare khayalon ki angnaiyon me

Meri yaad ke phool mahke to honge



Kabhi apni aankhon ke kajal se tumne

Mera naam likhakar mitaya to hoga



Labon se mohabat ka jadu jaga kar

Bhari bazm me sabse nazrein chura kar



Nigahon ki rahon se dil me sama kar

Kisi ne tumhe bhi churaya to hoga



Kabhi ayine se nigahein mila kar

Jo lihogi bharpur angdai tumne



To ghabra kar khud ayina bhi

Tere husn ko gudgudaya to hoga



Nigahon me shamye tamanna jala kar

Taki hogi tumne bhi rahein Kisi ki



Kisi ne to wada kiya hoga tumse

Kisi ne tumhein bhi rulaya to hoga
Ek Baar Yun Kisi Ko Kehkar Apna
Daman Yun Phir Usse Churdaya Nahi Karte
Uske Intezaar Se Bhala Hoga Kya Hasil
Aane Ka Kehkar Bhi Jo Aaya Nahi Karte
Rakhte Ho Jo Dard Bhara Dil Seene Me
Doosroun Ke Dil Phir Woh Dukhaya Nahi Karte
Do Qadam Sath Chal Kar Jo Juda Hojaye
Aise Logoun Ko Humsafar Bnaya Nahi Karte